Agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara by Amir Ameer




اگر یہ کہہ دو بغیر میرے نہیں گزارہ تو میں تمہارا

یا اس پہ مبنی کوئی تأثر کوئی اشارا تو میں تمہارا

غرور پرور انا کا مالک کچھ اس طرح کے ہیں نام میرے

مگر قسم سے جو تم نے اک نام بھی پکارا تو میں تمہارا

تم اپنی شرطوں پہ کھیل کھیلو میں جیسے چاہے لگاؤں بازی

اگر میں جیتا تو تم ہو میرے اگر میں ہارا تو میں تمہارا

تمہارا عاشق تمہارا مخلص تمہارا ساتھی تمہارا اپنا

رہا نہ ان میں سے کوئی دنیا میں جب تمہارا تو میں تمہارا

تمہارا ہونے کے فیصلے کو میں اپنی قسمت پہ چھوڑتا ہوں

اگر مقدر کا کوئی ٹوٹا کبھی ستارا تو میں تمہارا

یہ کس پہ تعویذ کر رہے ہو یہ کس کو پانے کے ہیں وظیفے

تمام چھوڑو بس ایک کر لو جو استخارہ تو میں تمہارا


عامر امیر





Agar ye kah do baġhair mere nahīñ guzāra to maiñ tumhārā
us pe mabnī koī ta.assur koī ishārā to maiñ tumhārā

ġhurūr-parvar anā mālik kuchh is tarah ke haiñ naam mere
magar qasam se jo tum ne ik naam bhī pukārā to maiñ tumhārā

tum apnī shartoñ pe khel khelo maiñ jaise chāhe lagā.ūñ baazī
agar maiñ jiitā to tum ho mere agar maiñ haarā to maiñ tumhārā

tumhārā āshiq tumhārā muḳhlis tumhārā sāthī tumhārā apnā
rahā na in meñ se koī duniyā meñ jab tumhārā to maiñ tumhārā

tumhārā hone ke faisle ko maiñ apnī qismat pe chhoḌtā huuñ
agar muqaddar koī TuuTā kabhī sitārā to maiñ tumhārā

ye kis pe ta.avīz kar rahe ho ye kis ko paane ke haiñ vazīfe
tamām chhoḌo bas ek kar lo jo istiḳhāra to maiñ tumhārā


AMIR AMEER


Post a Comment

0 Comments