Kon kehta ha moot ai tu mar jaon ga by Ahmad Nadeem Qasmi

 


کون کہتا ہے کہ موت آئی تو مر جاؤں گا

میں تو دریا ہوں سمندر میں اتر جاؤں گا

تیرا در چھوڑ کے میں اور کدھر جاؤں گا

گھر میں گھر جاؤں گا صحرا میں بکھر جاؤں گا

تیرے پہلو سے جو اٹھوں گا تو مشکل یہ ہے

صرف اک شخص کو پاؤں گا جدھر جاؤں گا

اب ترے شہر میں آؤں گا مسافر کی طرح

سایۂ ابر کی مانند گزر جاؤں گا

تیرا پیمان وفا راہ کی دیوار بنا

ورنہ سوچا تھا کہ جب چاہوں گا مر جاؤں گا

چارہ سازوں سے الگ ہے مرا معیار کہ میں

زخم کھاؤں گا تو کچھ اور سنور جاؤں گا

اب تو خورشید کو گزرے ہوئے صدیاں گزریں

اب اسے ڈھونڈنے میں تا بہ سحر جاؤں گا

زندگی شمع کی مانند جلاتا ہوں ندیمؔ

بجھ تو جاؤں گا مگر صبح تو کر جاؤں گا


احمد ندیم قاسمی

____________________________________

kaun kahtā hai ki maut aa.ī to mar jā.ūñgā

maiñ to dariyā huuñ samundar meñ utar jā.ūñgā

terā dar chhoḌ ke maiñ aur kidhar jā.ūñgā

ghar meñ ghir jā.ūñgā sahrā meñ bikhar jā.ūñgā

tere pahlū se jo uTThūñgā to mushkil ye hai

sirf ik shaḳhs ko pā.ūñgā jidhar jā.ūñgā

ab tire shahr meñ ā.ūñgā musāfir tarah

saya-e-abr mānind guzar jā.ūñgā

terā paimān-e-vafā raah dīvār banā

varna sochā thā ki jab chāhūñgā mar jā.ūñgā

chārasāzoñ se alag hai mirā me.aar ki maiñ

zaḳhm khā.ūñgā to kuchh aur sañvar jā.ūñgā

ab to ḳhurshīd ko guzre hue sadiyāñ guzrīñ

ab use DhūñDne maiñ tā-ba-sahar jā.ūñgā

zindagī sham.a mānind jalātā huuñ 'nadīm'

bujh to jā.ūñgā magar sub.h to kar jā.ūñgā


Post a Comment

0 Comments